EWS Scholarship Yojana 2025
Purpose:
Yeh yojana un students ke liye hai jo arthik roop se kamzor hain aur jinhe 10vi class pass karne ke baad apni padhayi jaari rakhne mein mushkil ho rahi hai. Is yojana ke madhyam se unhe aarthik madad di jayegi taki ve apni padhayi jaari rakh sakein.
Objective:
Iska mool uddeshya hai ki economically weaker sections (EWS) ke pratibhashali students ko aarthik sahayata di jaaye, taki ve apni padhayi ko bina kisi aarthik badha ke aage badha sakein.
Details of the Scheme (Yojana ki Jaankari)
Vivar Details Yojana ka Naam EWS Scholarship Yojana 2025 Shuru Ki Gayi Rajasthan Sarkar Dwara Laabharthi EWS varg ke students Uddeshya Pratibhashali students ko aarthik sahayata Aavedan Ki Antim Tithi 11 January 2025 Aavedan Prakriya Sanstha pradhan ke madhyam se online Official Website bser-exam.in
Eligibility Criteria (Yogita)
Shart Details Aarthik Sthiti Parivar ki वार्षिक आय ₹800000 se kam ho Shaikshik Pradarshan 10vi class mein 80% ya usse zyada ank EWS Praman Patra Valid EWS certificate hona chahiye Mool Nivas Praman Patra Rajasthan ka nivaasi hona chahiye
Benefits of EWS Scholarship (EWS Scholarship ke Laabh)
Scholarship Amount : ₹2000 for 2 saal.
₹1000 har saal, jo ki mahine ke ₹100 ke hisaab se diye jayenge, har saal 10 mahine tak.
Anya Laabh :
Arthik roop se kamzor aur pratibhashali students ko madad milegi.
Scholarship ki rashi seedha student ke bank account mein transfer ki jayegi.
Documents Required (Aavashyak Dastavez)
Dastavez Details EWS Praman Patra (2024) Valid EWS Certificate Bank Passbook ka pehla prashth First page of bank passbook Class X ka Roll Number 10vi class ka roll number 10vi ki Marksheet Class 10th mark sheet Aadhar Card Aadhar card Aay Praman Patra Income certificate Mool Nivas Praman Patra Proof of Rajasthan residence Class 11 ki Marksheet Class 11th mark sheet (if applying for 12th)
How to Apply (Aavedan Kaise Karein)
Online Registration : Sabse pehle aapko school ID aur password ke madhyam se board office mein login karna hoga.
Scholarship Form Bharein : Login karne ke baad EWS Scholarship Yojana ka form fill karen.
Documents Upload Karein : Income certificate, educational certificates, bank details wa etc. ko upload karein.
Application Submit Karein : Sabhi details ko check karne ke baad form ko final submit kar dein.
Rules and Regulations (Niyam aur Sharten)
Scholarship sirf regular students ko milegi jo ki maanita prapt sansthan se padhayi kar rahe hain.
Agar student class 11 aur 12 ke beech subjects badalta hai, toh usse scholarship nahi milegi.
Agar student padhayi beech mein chhod deta hai, toh usse aage ki scholarship nahi milegi.
Scholarship seedha student ke bank account mein transfer ki jayegi.
Important Dates (Mahattvapurn Tithiyan)
Application Start Date : 12 December 2024
Last Date for Application : 11 January 2025
Important Links
Resultwale.in